Jaadon ki narm dhoop Aur aangan mein let kar Aankhon pe kheench Kar tere daaman ke saaye ko Aundhe pade rahen Kabhi karwat liye huye
Dil dhoondhtaa hai Phir wahi fursat ke raat din
Yaa garmiyon ki raat Jo purwaayiaan chale Thhandi shafed chaadaron Pe jaagen der tak Taaron ko dekhte rahen Chhat par pade huye
Dil dhoondhtaa hai Phir wahi fursat ke raat din
Barfeeli sardiyon mein Kisi bhi pahaad par Waadi mein goonjti Huyi khaamoshiyaan sunen Aankhon mein bheege Bheege se lamhe liye huye
Dil dhoondhtaa hai Phir wahi fursat ke raat din
Baithhe rahen Tasawwur-e-jaanaa kiye huye