Mai rohan Pahado se..,
Aaj rat ke 2:30 baje hai..
Raat se hi barish tej ho rahi hai
Aur ab bahut zyada tej ho rahi hai
Mera gaav uche pahado par hai
Mera Ghar bhi thoda kachcha sa hai
Hum yaha me papa, chhota bhai aur mummy rehte hai.
Barish itni tej hai ki Ghar me bahar ka shor teji se sunai de Raha hai.
Hamare ghar me aur mera chota bhai jag rahe hai
Baaki mummy papa soye huye hai.
Unke liye aam tha woh kaafi salo se yeh sb dekhte aaye huye hai. Lekin hum dono ki neend khul gai hai mera chhota bhai muskura raha tha meri aur dekhkar waise bhi uske liye bahar kya horha ye smjhna mushkil tha wo kafi Chhota hai. Mere mann me aaj thoda sa dar hai kyun ki bahar se mujhe bahot jor jor se aandhi barish sabki awaj kaano me sunai de rhi thi.
Waise mere liye bhi ye sb kuch naya to tha nahi lekin aaj kuch jyada hi shhor tha. Meine meri mummy ko jagane ki kaushish ki unhone kaha sojao tum subah school bhi Jana hai fir tum late uthoge.
Mene socha me kuch jyada hi soch raha hu mene apne bhagwan ko yaad kiya aur kisi tarah sone ki kaushish ki lekin mujhe neend aa hi nahi rahi thi.
Maine socha shayad bahar jakar dekh hi lu tab chain ayega mujhe kuch.
Me jaise taise uthkar darwaje ki kundi kholi thodi aur bahar dekha bahar bahut tej hawaye chal rahi thi ikdam ik hawa ka jonkha meri aur aaya mere baal udne lage aur barish ki kuch boonde mere chehre par thi. Me darwaja thoda sa khulkar bich se dekh raha tha bahar ka haal. Tabhi mere dekha mere pero ke paas Mera chhota bhai bhi aagya hai.
Wo kehne laga bhai aisi barish rahi to hum dono kal chutti par rahenge wo khush hokar ye sb bata raha tha. Mene uski aur dekha aur kaha ye barish to ruk jayegi abhi thodi der me humein school Jana hi hoga. Ye sunkar wo kaha me dua karta hu bhagwan se ye barish ruke hi nahi. Mene uski aur dekha aur kaha baarish itni zyada hui to tum bahar khel bhi to nahi paoge. Waise ab 3 baj hi gaye the mere mann me tha subah ho jayegi thodi der me aur fir sb jag jayenge aur apne apne kamo me lag jayenge. Me thoda shant hogya ab ki ik ghante tak hi yeh sab jhelna hai.
Mujhe subah hone par humesha school Jane par khushi milti thi. Sb apne kamo me lage rehte the aur hum dost milkar school jate the shararat krte huye. Aur mujhe usse bhi zyada khusi yeh hoti thi ki humare sath Anu bhi school chalti thi. Wo haal hi me hamari achchi dost bani thi. Hum sab sath milkar jate the. Aur kisi bahane se mujhe uske sath rehne ka thoda sa hi sahi baat karne ka samay mil jata tha. Mujhe wo bahut achi lagti thi. Lekin wo mere baare me kya sochti thi ye me janta nahi tha.
Anu humesa se hi bahut kam hi bolti thi. Wo apni saheliyo ke sath zyada mil julkar rehti thi. Humare sath wo sirf safar krti thi. Lekin mere liye filhal itna kaafi tha meri khusi ke liye. Anu waise mere Ghar ke samne jo dikhti hai woh pahadi par rehti thi. Lekin aaj itna mausam kharab hai ki kuch dikhai nahi de raha hai. Hawaye kohra aur barish sabne jo khalipan tha in pahadio me woh sab bhar diya tha.
Tabhi achank se samne se bahut tez ki awaaz aai ye awaz itni zyada thi ki mummy, papa bhi jag Gaye wo daudkar mere pas aaye papa ne kaha tum zara hato yaha se wo dekhne lage lekin samne Aisa haal ki kuch dikhai na de. Mere mann me dar sata raha tha ki kya ho sakta he ye. Me mann me yahi sochkar khudko santvana de raha tha ki ye bijli garajne ka shor ho. Man thoda mayus tha mera. Papa ke kuch dost samne pahadi par rehte the unhone waha phone lagane kaushish ki lekin aaj yaha network me bhi problem arhi thi aur ghar me Bijli bhi nahi arhi thi. Humare gharvale jag Gaye the saare ab. 4 baj gaye the lekin ye andhera waisa ka waisa hi tha. Aur ab ye andhera meri ankho ki Roshani ko khaye ja raha tha.
Ab soye to bhi soye kaise ye awaje rukne ka naam hi nahi le rahi thi door door se pados me halki halki awaz arhi thi. Shayad wo apne bakrio aur gayo ko kaho surakshit jagah le ja rahe the. Mummy kehne lagi papa se apne khet to shayad sare khathm hogye honge. Papa kehne lage ujala hoga tab pata chalega kitna kaha nukshan hua hai.
Me chupchap hokar baitha tha aur bhagwan se mann hi mann prarthana kar raha tha ki kisi ko kuch na ho. Kyun ki thode dino me hi shetrpal ka mela hai sab logo khusi khushi se bhagvan ko khush karenge.
Me yeh sab sochte sochte hi na jane kab sogya pata hi na chala itne me subah hogai thi mene apni ankhe kholi darwaja samne se thoda khula tha mera bhai mere pas soya hai me uthkar darwaje ke pas gaya tab maine dekha samne.., ab koi kohra nahi hai sb saaf saaf dikhai de raha hai. Saamne ki pahadi par bhuskhalan hua hai. Waha ab anu ka makan nahi hai. Mere dil me dar tha aur presan tha me jaldi me bhagta hua anu ki Ghar ki aur jane laga tabhi mujhe bich me mera dost ritvik mila. Maine pucha kya hua tum jakar aye kya waha wo kehta hai " me gaya to tha waha lekin waha se pura rasta tuta hua hai aur upar ke tino makan tutkar niche ghir gaye hai."
Mai thoda shant rehkar usse pucha fir waha sab logo kaha hai ab. Wo kehne laga itne bade bhuskhalan se koi ghar aur usme rehne wale bach nahi paye. Me waha se tej bhagta hua rota hua anu ke Ghar ke waha Jane laga waha logo ki bheed he aur jaha ye sb makan tutkar ghire pde he waha bhi niche log hai. Me kudta hua chote chote rasto me bhagta hua waha ja pahucha maine dekha sb ghar tute huye hai. Gaav ke log jo makan ke niche dab gaye unhe nikal rahe the. Waha me jara pas Jane laga to gaav ke ik budhe dada ne mujhe dur Jane ko kaha lekin me jaise taise waha pas pahuch gaya. Waha tuti hui diwal par khoon laga tha ..kuch kapdo par kuch unlogo ki chije padi thi.
Meri ankhe sehmi hui anu ko dhundh rahi thi uske ghar ko maine dhundh liya tha waha uski sandals, uski almari tuti hui pdi thi. Waha lekin koi tha nahi maine thoda yaha waha dekha fir waha koi nahi mila. Jo log yaha mare huye the waha unpar kapda dhak diya tha. Tabhi meri najar ik hari kurti par gai wo thodi si bahar mujhe latkkar dikh rahi thi me sb batein kr rahe the tab chupke se uske pas gaya maine thoda kapda hata diya chehra dekhne.
Tabhi meine dekha wo anu thi. Uska chehra buri tarike se zakhmi hogya tha maine kisi tarah dekhne kaushish ki woh zinda he ya nahi lekin uski maut hogyi thi. Mere na chahte huye bhi ankho se pani beh raha tha. Me saare beete huye pal Yad karkar ro raha tha.
Roke na ruke uski yaadein ruk nahi rhi thi. Man me yahi khayal aarhe the ki ab woh subah nahi hogi meri zindagi mai. Aur me rote ja raha tha. Maine kaise bhi karke anu ke hath me jo ring thi use ik yaad ke liye nikal diya aur apne hatho me pehn liya. Ye galat tha lekin ab wo mujhe kabhi nahi milegi ye sochkar maine pehn li.
Ab dhire dhire se ye sabhi lashe aur anu ko lekar Jane lage. Mere dil me tha in sabke sath anu ko na Jane du. Lekin itne sare logo ke bich ye sb karna mujhme dar bhi tha. Mann me sochne laga mai anu ki maut yaha hui he to uski rooh yaha hogi ab uske zism ke sath nahi. Wo sb log dheere dheere karke waha se chale gaye. Me jaha anu ka ghar tha waha ik pathar par baitha raha. Sab Jane ke bad me bolne laga " anu tumhe pata hai, me tumse bahut pyar krta hu aur yeh baat mai tumse kabhi keh hi nahi saka. Lekin tum chinta mat kro tum akeli nahi ho me har roj yaha aaya krunga tumhare liye tumhare sath batein krunga tumhare liye khana bhi lekar aaunga. Tum akeli nahi ho me tumhare sath hu. Itna kehkar maine uski pehni hui ring par apna hath rkh diya aur me rone laga kyu ki sach to yehi tha woh kabhi wapas nahi lautne wali. Me mayus ro raha tha tabhi upar dali se ik ful tutkar ik ful meri ankho ke pas se hota huya , ya mano anshu pochta hua mere dono hatho ke bich gir gaya. Mene thoda shant rehkar upar dekha pedo ke bich se ab suraj ki thodi Roshani dikhai de rahi thi....
(To be continued...)