
Mujhko paa ke, jo kiya hai
Ab tu aanchal me chupa le
Tera kaajal, meri nigaahein
Tu mujhme basta jaise khuda

Rooh ko sukoon tu de
Tu mujhme tu mere wajood me hai
Mohabbat ka tujhko saboot kya dein?
Jab se dekha tujhko ham sab bhool sa gaye

Baaghon me khilta ek phool sa hai
Roushan dil kare, tu noor sa hai
Jab se pilaadi hai aankhon se tu ne
Dil yaadon me tere hai jhoomta

Mujhko behkaati hai teri aawaazein
Ghaayal tu karti adaa se
Mujhko na dil se nikaale
Gunehgaar ko tu kuch aisi saza de

Mujhko tu dozakh dikha de
Parde sharam ka tu apne hata ke
Maikhaane me behad sharaab hai
Par tere na jaisa kisi me nashaa hai

Mujhko bewajah de saza
Tu hai dard-e-dil ki dawa
Toh mai apna sab kuch lutaa du
Main hun jab se tera hua
Mai toh mar gaya ba-khuda

Dil se nikaale hue the
Tum ne sambhaala hai aa ke
Mai ghar ko tarasta tha pehle
Thikaana hai ab teri aankhein

Ham rastah bhatakne lage the
Phir tumne di mujhko aawaazein
Mai khaali ek gora tha kaaghaz
Ab naam se tere mukammal kitaabein

Mujhko teri saadgi ki qasam
Tujhpe mar mite toh bhi kam
Tujhse zyada maangu mai kya?
Tujhko likh ke todhi qalam

Tere husn ka ye asar
Pehle dil tha jaise qabar
Ab hai phool khilne lage usme
Tu har jagah, har taraf

@jasminee hehe few lines of a rap hehe i know you will headache so i didnt shared the song but but here is have something


~aisi uljhi nazar unse haat ti nahi

~mai jab tumhare saath bheed mai hota hazaro logo ke bich mere liye wo log w gaadiya wo kamra exist ki karna band kar dete hai

~ us waqt sirf meri aankhein tumhe dhundne ka mushkil kaam nahi kar rhi hoti unke liye us waqt sirf 2 hi aankhein hoti hai tum aur mai
~ phir dhundna kaisa @jasminee

~hamesha meri aankhein bheed se nikal ke tumtak aane ki raste dhundti hai jaan
