Wo mere sapno mein aana chahta tha
Isiliye pehan li usne wo hari hari kmeez
Jo mujhe khoob bahut khoob pasand thi
Jiski dono jebbo mein
Rakhli usne do chiddia choti si,
Tod laya wo meri pasand ke phool
Bina pucche paudho se aur
Gucche bna liye unke mere liye
Sanki thi mai, sanak ki hadd tak
Pasand tha mujhe wo samandar,
Agar koi na roke to
Ghanto, dino ya saalo tak
Dekhti reh skti thi main,
Lahro ka aana jaana
Plastic ki badi thaili mai
Maine samandar ko bhar lia
Koi andaza bhi nahi kar skta
Ki kesi takleefdeh baat thi yeh
Samandar ke liye,
Saath to wo ho lia
Par dar lgatar uthta rha uske man mein
Ki raat birat iddhr se koi guzzra
Aur gaayab paya samandar ko
To bina baat ka batangad ban jaayga
Tatt ke pas se hi machuwaaro se
Maine ak nav maang li aur
Baandh lia use apne seedhe kaandhe par
Uska paal jab hwa mein lehrata to
Lgta jese taaze kore kagaj par koi
Sundar shayari likh rha ho
Chaand usne kameez ki jebb mai rkh lia
Kyuki mujhe chaand pasand tha
Isiliye taare, wo pyare pyaare
Dher saare sitaare paint ki jebbo mai bhr liye
Taare! Wo ginti gin’ne ke khilone
Kai baar suru kia jinhe gin’na
Aur pura pura kbhi nhi gina
Tare to tare they mungfali nhi
Ki khati chali jaau cheel cheelkar
Khali bhi nhi theyy mere haath
Phoolo se bhare se phoolon se
Mere haath na ho jese ho phoolo se laddi hui tehniyaan
Ak raat teen bajkar das min. ka waqt tha, sadak akdm sunsaan thi
Aur mai uske sapne mai jane ke liye nikal padi
Mai itni sari chijo se ladi thi par lut jane ke khtre ka khyal mujhe ak bar bhi nhi aya
Mai kisi pedd ki trh apne hare bhare prem mai char haath upr tak dubi hui
Aawara hawa ki trh puri masti mai thi
Kapde ke joote phne , chijo se lade fade mai bina koi awaj kiye uski neend mai phunchi
Joote mene baahr nhi utaare
Uski neend mai aesi koi takhti nhi thi
Uski aankhe mai dur tak faili nind, mere aane se phle akdm bekhwaab thi
Ak sapne ka intzar saa tha, aakarshak par moun
Aur aankhein aur baahein khole huye
Mene pani nhi hilaya, lehar nhi bnaayi
Hawa ko nhi chedda, pedd ko nhi jhinjhoda
Ki mchiliyaan bhagati ya jaagti chidia
Mene sirf itna kia ki haath mai
Thaame phoolo ko dhire dhire faila dia uski nind mai
Dhire dhire khusboo aur sukoon se bhrne lgi
Dhire dhire nind mai jaagte hue dekha uske khusboo ko
Phoolon ko apni kameez ke hare rang ko aur mujhe
Nind mai dekhte hi wo muskuraya, uthaa
Hawa par swaar ho, ak bade se baadal ko pkda
Aur ak ak kar sari chije uspr sjaa di
Lekin samandar ko kahan rakhta?
Thaili ko ult deta to soti hui sari dunia bheeg jaati
Nhi kholi usne thaili, naav mai bethkr hum thaili mai hi utar gaye
Baahr baadal par khoobsurat saa rkah tha chaand aur
Uske khargosh baadl ke kinaare kutar rahe they ya badal par uggi ghaas
Hum ak dusre ke chumbno se dhkte chle gye honth, aankhe aur jism
Jane kha chali gyi sari chije
Haay! Swarg mai bhi hui chori
Aesa to phle kbhi suna na tha
Lauti to bas ak dhoop ka tukda tha
Jo ghadi ki trh dhmkaa raha tha
Ki jhpt utth jaa nahi to raat phir se laa dunga....
Hasee sapno ki raat phir se laa dunga...!!!