Hoon Boond ya Badali ya chahe Patang, Aasman tum Bano
Hoon Ghazal ya Kavita ya koi Chhnd, Alfaaz tum Bano....
Hoon Subah ya Saanjh ya Raat ki Pehar, Tum har waqt saath raho
Hoon Dhoondh ya Kuhra ya oas subah ki, Aaftaab tum Bano...
Hoon Dhara ya Nadi ya koi Lehar, Kinaara tum Bano
Hoon Dard ya Aanshu ya koi bhi Gam, Sahara tum Bano...
Hoon Possh ya Aashaddh ya koi bhi Rutt, Saavan tum Bano
Hoon Mehandi ya Sindoor ya Bindiyaan koi, Haaan
Har baar mera "Anchal" tum Bano...!!!
"Wafa to khud Bewafa hai..."
Yeh line hi itni gehri hai ki isme pura zamana sama gaya. Aaj wafadari bhi ek temporary concept ban chuki hai, aur log ek doosre ko sirf tab tak zaroori samajhte hain jab tak unki apni zarooratein poori ho rahi hoti hain.
Lekin sach yeh bhi hai ki har koi aisa nahi hota. Kuch log ab bhi mohabbat ko mohabbat ki tarah jeete hain, bina kisi expiry date ke. Shayad woh kum hain, par hain zaroor.