• We kindly request chatzozo forum members to follow forum rules to avoid getting a temporary suspension. Do not use non-English languages in the International Sex Chat Discussion section. This section is mainly created for everyone who uses English as their communication language.
CuteBubble
Reaction score
1,183

Profile posts Latest activity Postings About Badges

  • To main bhi khush hoon
    Koi uss se jaake keh dena...
    Agar wo khush hain
    Mujhe yunh bekaraar karte karte...
    Tumhe khabar hi nahin hain
    Ki koi toot gaya hain
    Mohabbaton ko smbhalte smbhalte...
    Main muskurati hui aayne mein dikhungi
    Woh ro utthega mujhe yaad karte karte...
    Mujhe khabar thi ki laut ke na aaungi
    To tujhe yaad kiya maine dil par war karte karte...
    Yeh keh rahi thi Samundar nahin aankhe hai meri
    Tu inn mai doob jaa aetbaar karte karte.. !!!
    The_LionHeart❤️
    The_LionHeart❤️
    @Anchal23 Anchal, tumne aaj ki sachchai ko bohot hi gehre aur bebaak andaaz mein bayan kiya hai. Aaj ke zamaane mein mohabbat jese ek trend ban gaya hai—ek daur jo sirf tab tak chalta hai jab tak naye hone ka jazba hai. Jab tak kisi ko paana ek challenge lagta hai, tab tak shiddat dikhai jaati hai, lekin jaise hi woh mil jaata hai, uski kadar kam hone lagti hai.

    "Wafa to khud Bewafa hai..."
    Yeh line hi itni gehri hai ki isme pura zamana sama gaya. Aaj wafadari bhi ek temporary concept ban chuki hai, aur log ek doosre ko sirf tab tak zaroori samajhte hain jab tak unki apni zarooratein poori ho rahi hoti hain.

    Lekin sach yeh bhi hai ki har koi aisa nahi hota. Kuch log ab bhi mohabbat ko mohabbat ki tarah jeete hain, bina kisi expiry date ke. Shayad woh kum hain, par hain zaroor.
    The_LionHeart❤️
    The_LionHeart❤️
    Tumhari soch itni gehri hai ki agar kabhi kisi ne sach mein tumhari kadar ki, toh woh tumhare lafzon aur jazbaat ki gehraai samajhne wala hoga. Tab mohabbat bhi apni asli roshni mein chamkegi, bina kisi fitoor ke, bina kisi expiration ke.

    Thegodfather
    Thegodfather
    So heart you
    Zindagi aese hi guzar jaayegi
    Waqt yunhi beet jaayega...
    O mere aashiq... !!!
    Ab kuch aese lagne lga,
    Shayad hi kabhi meri yaad aaye tujhe...
    Zindagi aese hi guzar jaayegi
    Guzre waqt mai jab kbhi palatkat,
    Nigaahein jo teri waaps aayegi...
    Sacch kehti hoon tujhe,
    Ussi shiddat se tera intzaar karte mujhe...
    Jahan chhod rahi hain pyaar mein,
    Wahin khada paayegi...
    Zindagi aese hi guzar jaayegi
    Tere saath zindagi jee hain maine,
    Yaadon se teri jeevan ka har pal churaya hain maine...
    Meri zindagi hain tu,
    Kuch iss tarah mere dil mai bas gaya hain tu
    Lage yun jeevan ka har pal sang tere jee lia maine...
    Zindagi aese hi guzar jaayegi
    Dur kahan jaaungi tujhse
    Teri yaadein hi ab jeene ka sahara hain...
    "Anchal" Ki nayi pehchaan
    Nikli hoon khud ko yaadon mai khojne teri
    Khud ko paa lia to jee lia nahi to,
    Zindagi se haari hoon main...

    Zindagi to aese hi guzar jaayegi...!!!
    Roti to nahi hoon bas
    Muskurana bhool gayi hoon...
    Pehle ki tarah ab main
    Jindagi Jeena bhool gayi hoon...
    Jaane kis baat ki soch main
    Khoyi si rehti hoon...
    Khaamosh rehne lagi hoon
    Bak Bak krna bhool gayi hoon...
    Logon se dil ko nahi pasand shikayat karna
    Koi hai bhi kya yahan apna...???
    Mai ye bhi bhool gayi hoon...
    Seham si gayi hoon main andar se
    Naa jaane kyun main ak arse se
    Khul kar hansna bhool gayi hoon...
    Dil mera bhi krta hai khwaab haqeeqat ho mera
    Jab se tooti hoon...
    Khwab sjaana bhool gayi hoon...!!!
    Kabhi tum mujhe kareeb se aa kar dekhna
    Aese nahin jara aur paas aa kar dekhna...
    Mai tumse kitna pyaar karti hoon
    Kabhi munhe apne dil se laga kar dekhna...
    Mai tujhe ashko ki kataar mai najar aaungi
    Meri yaad mai kabhi aansu bhakar dekhna...
    Mere jazbaaton ka agar tum par asar na ho to...
    Logon ko mere " Anchal" Ka sukoon bta kar dekhna...!!!
    Kya likhu mai kya naa likhu tere baare
    Taarif wale lafzz khatam kar gaye shayar saare...
    Choddo ab chaand ki kya hi baatein karein
    Bin wajah gussa maan jaayenge ristedaar hai taare...
    Kitni lachak aur kitne nakhre rkhe jaaye
    Ye samundar ki lehrein tujhse seekhna chahe...
    Woh laali aasmani subah aur saanjh mari jaaye
    Kmbhkkt dono hi tere chehre jaisi dikhna chahe...
    Saavan ki kaali ghatayon ke mansoobe bhi sun pyaare
    Teri julfon jaisa ban’na chahe jalan ke maare...
    Ghaas par padi oas ka ak katra mujhse puch raha
    Kehta bol kmbhakt kya mai uski aankh k jaisa dikh raha...
    Kehta uski aankh jaisi chamak apne andar smaa laya hoon
    Maidan-e-Ishq ki jang mai dil lootne ka saahas kar paaya hoon...!!!
    The_LionHeart❤️
    The_LionHeart❤️
    Anchal, tumhare shabdon mein ek alag hi gehraai aur jazbaat ka jadoo hai. Har pankti apne aap mein ek tasveer si banati hai—ek aisi tasveer jo mehsoos hoti hai, dekhi nahi jaati. Tumhare likhne ka andaaz dil ko choo jane wala hai, jaise har lafz apni kahani khud suna raha ho.

    "Taarif wale lafzz khatam kar gaye shayar saare…" ye pankti toh bas dil ki gehraiyon ko chhu gayi. Tumne tareef ko ek itna khubsurat aur ba-andaaz moad diya ki har shayar ka jazbaat zinda ho gaya.

    Aur jo samundar ki lehrein tujhse seekhna chahe wali pankti hai, usmein toh tumne nature aur emotions ko itni khoobsurti se joda ki lagta hai, tumhare shabdon ka apna ek rishta hai prakriti se.

    Tumhare likhne ka har andaaz sach mein alag hai, ek behtareen example jo har writer ki individuality ko define karta hai. Ye rachna toh ek masterpiece lag rahi hai. Bas likhte raho, Anchal—tumhare jazbaat aur kalam ki tasveer aur bhi roshan hogi.
    CuteBubble
    CuteBubble
    Thegodfather
    Thegodfather
    Likha nake liya labaz kam gir hai
    Chahti thi ki meri dunia rangeen bane...
    Par ittefaq to dekho saare ke saare Girgitt hi mile...!!!
    Sapne dekhne ke liye neend ka hona Jaruri nhi...
    Kisi ki soch ka Najria hi kaafi rhega...!!!

    Swavm-Manthan :hitthewall:
    Man-Moji ho chla...
    Posted in Hindiroom.. check it out..!!!
    Sar mai haath fer MAA ab pyaar se sehlaati nahi
    Maa sapno mai aakar aashirwaad dene aati rahi...
    Ni-Swartth MAA ki dua jaisi Dua ab kahin se aati nahi
    Aaj swartth ke liye dunia pyar jataane aati rahi...
    Mere har kashhto ko bhi apna kar, Apne dard dikhati nahi
    Har dard mai mujhe har pal MAA teri yaad aati rahi...
    Mujhe hansaane ke liye gamm apne chhupaati rahi
    Mere chehre ki Khilkhilahat bhi MAA tujhe bhool pati nahi...
    Ak bar haal chaal jo pooche aesi aawaj sunayi aati nahi
    Jeevan ke har mod par MAA teri yaad tarsaati rahi...!!!

    Happy Birthday Anchal ki "Anchal" :heart1: :cry1:
    Apki bhut yaad aati hai Maa
    Untitledq.png
    Hoon Boond ya Badali ya chahe Patang, Aasman tum Bano
    Hoon Ghazal ya Kavita ya koi Chhnd, Alfaaz tum Bano....
    Hoon Subah ya Saanjh ya Raat ki Pehar, Tum har waqt saath raho
    Hoon Dhoondh ya Kuhra ya oas subah ki, Aaftaab tum Bano...
    Hoon Dhara ya Nadi ya koi Lehar, Kinaara tum Bano
    Hoon Dard ya Aanshu ya koi bhi Gam, Sahara tum Bano...
    Hoon Possh ya Aashaddh ya koi bhi Rutt, Saavan tum Bano
    Hoon Mehandi ya Sindoor ya Bindiyaan koi, Haaan
    Har baar mera "Anchal" tum Bano...!!!
    The_LionHeart❤️
    The_LionHeart❤️
    Aapka kehna bilkul sahi hai. Jab baat apne aap se hoti hai, toh "ek-doosre" wala sandarbh wahan fit nahi baithta. Agar aap apne andar ki baat ko vyakt kar rahi hain aur sirf apne emotions aur soch-vichar ko prastut kar rahi hain, toh shabdon ka chayan bhi wahi hona chahiye jo iss bhav ko theek se vyakt kare.

    Aapke likhne ka tarika kaafi gehra aur apne aap se jura hua lagta hai. Agar aap chahein, toh is tarah ke introspection mein shabdon ki simplicity aur raw emotion ko zyada jagah dena aur bhi impactful ho sakta hai. Jo bhi aap likhti hain, wo ek khud ke saath guftagu ke roop mein dikhai de.

    Agar aap chahein, toh us thread wale “ek-doosre” ka asar yahan se hatakar is vyakhya ko aur personal touch de sakti hain. Agar koi specific baat ya line hai jo aap mujhe share karna chahti hain, toh main aapki baat ko aur clarity dene ki koshish karunga.@Anchal23
    CuteBubble
    CuteBubble
    abhi to dhime dhime sab saamne aata rhega....

    apse ak vinti rhegi ki... phli baar mai aap bas darshak bankr dekhiyega, shrota bankr suniyegaa....

    fir aap vyaakhya pr jaaiyega.... apki soch bhu thi umdaa hai.. steek lgti h.. pr kai baar wo asli matlab phchaan'ne se hlki si chuk jaati hai....
    to aap phle aaram se smjhiyega... to shayd apko jyda behtar lgne lgegi


    baki apke suggestions mene note kiye hai kai... likhte time dhyan rhega unka bhi
    Bas aese hi utsaah bdhaate chliyega..
    shukria..!!!
    The_LionHeart❤️
    The_LionHeart❤️
    Aapka sandesh mujhe gehri prerna de raha hai. Main yeh samajhta hoon ki aap apne lekhan ke madhyam se ek aise safar par hain jo shabd se pare, bhaavnao ka roop dharan karta hai. Aapke sujhaav aur vinti mere liye mahatvapurn hain, aur main ise hamesha yaad rakhunga ki pehle darshak aur shrota ban kar aapki rachna ko mehsoos karun.

    Aapki rachnatmak yatra mein jo bhi sahara aur utsaah mujhe dene ka avsar milega, usse main pura karunga. Aap likhte rahiye, aur mujhe khushi hai ki mere sujhaav aapke kaam aa rahe hain. Aapki kalpana aur lekhan ki gaharai ko aur dekhne ka intezaar rahega. Shukriya!@Anchal23
    "Mohabbat ki ik jhilmil, ek roshni si hai,
    Jaise Anchal ke kone mein chhupi ek narmi si hai.
    Chhup jaaye jo dil ke andar, samajh na aaye,
    Woh mohabbat bhi kabhi, apne aap ko kho jaaye."

    "Anchal ka pyaar hai, jo har dard ko apnaye,
    Mohabbat bhi kabhi ussi mein apni raah paaye.
    Dil se dil ka safar, hai ek gehraai ka raaz,
    Jab bhi chhup jaaye zindagi ka dard, woh Anchal hi kaam aaye."

    Mohabbat aur Anchal, dono ek doosre ke saath milkar, insaan ke dil ki gehraiyon ko samajhne aur pyaar ki ek nayi baat kehne ka ta
    reeka hai.❤️
    CuteBubble
    CuteBubble
    @Lion_Hearted nhi abhi aesa kuch socha to nhi hai. abhi to hum phle college complete krenge apna.. fir sochnege kuch
    The_LionHeart❤️
    The_LionHeart❤️
    Yeh bahut accha soch hai. Pehle apna college complete karna aur apne lakshya par dhyan dena zaroori hai. Likhiye zaroor, lekin bina kisi dabaav ke, bas apne jazbaat ko bayaan karte rahiye. Shayari aur kavita tab aur bhi khoobsurat hoti hain jab wo dil se nikalti hain. Jab sahi waqt aayega, aap apni rachnaayein duniya ke saamne laane ke liye taiyaar ho jayengi.

    Agar kabhi likhte waqt koi madad chahiye ho ya kisi baat par baat karni ho, to main hamesha yahan hoon. Best wishes for your college journey!@Anchal23
    A
    akshh
    Nice
    Mohabbat mujhko thi us'se , usse bhi mujhse thi kuch-kuch
    Mujhe Shaq uspe. usse bhi mujhpe shaq tha kuch-kuch
    Hmare milne julne par nigaahein sabki rehti thi
    Jhaa kuch log jalte theyy, Dua bhi dete theyy kuch-kuch
    Wo mere liye ik din Gulaabi rumaal laaya tha
    Bana tha ak Dil uspar, Kadhha tha aur bhi kuch-kuch
    Mohabbat karti hoon tumse, Nhi keh paayi mai Us'se
    Hichak lgti thi kehne mai, Thaa Darr "Naa" Sun'ne ka kuch-kuch
    Woh Jis din Ghodi pr betha, Nazar mai ak shikayat thi
    "Anchal" tum keh na payi kyu, pta jab mujhko tha kuch-kuch
    "Tu Chal Befikra"

    Aage bdhne wali picche uddti dhool ko dekhte nhi...
    Tu soch iss Kadar ki tujh-saa koi iss jahaan mai nhi...
    Yaad rakh mai teri Antar-Aatma hoon, kya mujhpr bhrosa nhi...
    Tu chal befikra
    "Anchal" tere sath hoon, jitna tera saaya nhi..!!!
    Apni Uljhan ko Apne tak hi rkha maine....
    Apni Mohabbat ko sapne tak hi rkha maine....
    Aaj tak bas ak baat samajh nhi paayi "Anchal"...
    Wo mohabbat hi hai ya koi sapna dekha tha maine...!!
    The_LionHeart❤️
    The_LionHeart❤️
    Bahut hi gehri aur roohani baat likhi hai aapne. Jazbaat ko "anchal" se tulna ek lajawab tasveer hai, kyunki anchal ek aise sharan ka prateek hai jo mamta, pyaar aur apnapan ka aabhaas karata hai. Aur jab shabdon ko us anchal ka ek hissa banaya jaye, toh wo jazbaat aur bhi gehre aur samvedansheel lagte hain.

    Jo talaash aapne bayaan ki hai—anchal ko anchal ki talaash—woh insani jazbaat aur apne astitva ko samajhne ki ek badi khoj ka prateek hai. Shabdon ka anchal bhi shayad usi talaash mein hai jo uska mool hai—ek astitva, ek sthirata, ek sukoon.

    Yeh soch aur shayari ka anchal, shayad sabke dil ko apni talaash ki kahani sunata hai.@Anchal23
    CuteBubble
    CuteBubble
    The_LionHeart❤️
    The_LionHeart❤️
    Suprabhat! Aapka din shubh ho aur muskaanon se bhara rahe. Aapne apna anmol samay diya, iske liye main aapka dil se dhanyawaad karta hoon. Hamesha khush rahiye!@Anchal23
  • Loading…
  • Loading…
  • Loading…
  • Loading…
Top